NIKAH MUSHKIL AUR ZINA ASAN KYUN - EK TEHQEEQI NAZAR…
BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM
QURAN: YA AIYUHALLAZEENA AMANUTTAQULLAHA WAQOOLU QAULAN SADEEDA. YUS LIHLAKUM AMALUKUM WAYAGHFIRLAKUM ZUNUBAKUM WAMAIYUTEEILLAHA WA RASOLLAHU FAQAD FAZA FAUZAN AZEEMA. (Ch:33 V:70&71)
QURAN: YA AIYUHANNASUTTAQU RABBAKUMULAZI KHALAQAKUM MIN NAFSIYUN WAHIDA, WA KHALAQA MINHA ZAUJAHA WABASSA MINHUMA RIJALAN KASEERAUN WA NISAA, WATTAQULLAHALLAZI TASA'ALOONA BIHI WALARHAMA INNALLAHA KANA ALIAKUM RAQEEBA. (Ch:4 V:1)
MAFHOOM: Aey logo apne RAB se daro, jisne tumhe ek jaan se paida kiya aur isi jaan se iska joda banaya aur in dono se bahut se mard aur aurte phailayi, is ALLAH se daro jiska wasta dekar tum ek dusre se apna haq mante ho aur rishtadari ke ta'alluqat ko bigadne se bacho, beshak ALLAH tum par nigrani kar raha hai. (Ch:4 V:1)
HADEES: ALNIKAH MIN SUNNATI.
HADEES: MAN RAGHIBA ANSUNNATI, FALAISA MINNI.
HADEES: A'ALANU HAZANNIKAH WAJA'LOOHU FIL MASAJID.
____________________________________________________________
Ye Safar ka mahina chal raha hai aur iske bad Rabiul Awwal ka mahina ayega aur iske bad phir 4 mahine aise hain jinme ummat-e-muslima mein kaseer tadad mein Nikah hote hain isiliye is waqt is mauzu par chand batein ki ja rahi hain dua kare ki ALLAH amal ki taufeeq ata farmaye aur hone wale Nikah Sunnat ke mutabiq hone lage…
Ye ek bahut wasi mauzu hai bat ka aur sabse pehle ye samjh lena chahiye ki akhir ye Nikah darasal hai kya. Nikah DEEN-E-ISLAM mein sirf ek rasm-o-riwaj nahi hai balki hamare liye ye ek Ibadat hai, Neki ke husool ka zariya hai, Iman ki takmeel ka ba'ais hai aur Nabi SAWW ki sunnat hai. Ye ibadat isliye hai ki iski talqeen ki gayi hai, ye neiki ke husool ka zariya isliye ki ise sadaqa qarar diya gaya hai, shauhar aur biwi jab jayez tareeke aur jayez tarah se apni khwahisho ki takmeel karte hain to Hadees mein aya hai ki ye bhi Sadaqa hai, ajro sawab ka zariya hai, aur ye sunnat isliye hai ki isko Nabi SAWW ne khud bhi farmaya hai.
Kal jo tareeka Nikah ka Muhammad-e-Arabi SAWW ne humein bataya tha aaj is western, modern, ghaleez aur gande mahaul mein wo kahin kho sa gaya hai, har kisi ko ye to yad rehta hai ki ye sunnat hai aur isse iman mukammal hota hai lekin ye kisi ko yad nahi ki is sunnat ka tareeka kya hai, Iman ko mukammal kis tarz par kiya jaye aur kis tarah kiya jaye. Nabi SAWW ne ye bataya ki Nikah ibadat bhi hai, NIkah neiki ke husool ka zariya bhi hai aur Iman ki takmeel ka zariya bhi hai, 3 - 3 cheeze ek sath sirf ek amal mein, ek sunnat ko pura karne par hai aur har shadi karne wale musalman ko milti hai lihaza ye koi choti bat ya chota amal to hua nahi, ALLAH aur Uske Habib Muhammad Arabi SAWW ne har ahkam aur sunnat ko ada karne ka tareeka bhi bataya aur uske liye kuch hidayat bhi di hain, lekin aaj hamare maashre ki badqismati ye hai ki is sunnat par amal karna to sabhi ko yad raha lekin jis tarah Nikah karne ko aur uska tareeka Nabi SAWW ne bataya tha wo yad nahi raha. Aaj Nikah aur shadi ke nam par jo rasoomat ma'ashre mein rayej hain wo har tarah se gandigi, gunaho aur ghalazat ko dawat dene wali hain.
NIKAH SE MUTALLIQ CHAND HIDAYAT JO NABI SAWW NE BATAYI…
1. DEENDARI KO TARJEEH: Nabi SAWW ki ek hadees hai "Tunkahul Mar atu liarbain limaliha, wali jamaliha, wali hasabiha, wali deeniha, fazfar bizatiddeen taribat yadak". Iska mafhoom hai ki log jab rishta lagane ki sochte hain to khoobsurti ko dekhte hain, hasab aur nasab ko dekhte hain, maal dekhte hain aur phir seerat, kirdar deendari dekhte hain lekin tum seerat, kirdar aur DEENDARI ko tarjeeh dena. Ye jo last mein "FAZFAR BIZATIDDEEN" alfaz aya hai iske yahi mayene hai ki tum DEEN ko tarjeeh dena. Aam taur par dekha jata hai ki sabse pehle log khoobsurti ko tarjeeh dete hain, phir khandan ko aur phir paise ko agar dekha jaye to ye teeno cheeze Abu Laheb mein bhi maujood thi, behad khoobsurat, uncha khandan aur maal bhi tha lekin ALLAH ne quran mein baddua kar di aur iske liye farma diya "TABBAT YADA ABI LAHBIYUN WATABB", iske barakas dekhe Hadhrat Bilal R.A. na khoobsurti hain, na maal hai aur na he uncha khandan lekin ALLAH ke nazdeeq maqam kya hai RADHIALLAHU ANHU, ki sari ummat inke nam ke agey RADHIALLAHU ANHU lagati hai ki ALLAH unse razi ho gaye. Ye ALLAH ne criteria taiyyar kiya hai ki uske nazdeeq sirf Taqwe wale ko uncha maqam milta hai, na he mal wale ko, na khoobsoorat ko aur na he unche khandan wale ko. ALLAH ne Quran mein farmaya ki "Tum me se sabse badh kar izzat wala wo hai jo sabse badhkar ALLAH ka taqwa ikhtiyar kare. Nabi SAWW jo khutba Nikah ke waqt padha karte they usme 4 maqamat par taqwe ka zikr aya karta tha isliye Nabi SAWW ne hidayat di ki tum DEENDARI ko har cheez par tarjeeh diya karo, aur riwayat mein hai ki agar acha DEENDAR, SEERAT aur KIRDAR ka rishta mil jaye aur tum usse inkar kar do to zameen mein fasad paida ho jata hai.
2. IKHRAJAT: Shadi mein apne ikhrajat kam se kam rakhne chahiye, Hadees mein ata hai ki sabse barkat wala nikah wo hai jisme ikhrajat sabse kam hon. Darasal aajkal hota ye hai ki log shadi mein apni haisiyat se zyada karch karne ki koshsih karte hain aur udhar lekar karte bhi hain. jab udhar lekar shadi mein apni haisiyat se zyada kharcha kar diya jata hai to phir udhar ko wapas karne ka number ata hai, idhar shadi ke bad already ikhrajat badh jate hain aur upar se shadi ke dino mein liya gaya udhar bhi sar par sawar rehta hai jisse tamam tarah ki takleefe, pareshaniya, ghussa aur tension hoti hai, aaj aap dekh lijiye barkate kahtm ho gayi hain, idhar shadi hui nahi ki kabhi miyan biwi mein ladayi, kabhi saas aur bahu ka jhagda, kabhi nand aur bhawaj ka jhagda ye aam si batein ho gayi hai aur iski wajah sirf ikhrajat ko asman tak pahunchana hai, kahin 5 sal ka mansooba, kahin 3 sal ka mansooba, kahin kuch to kahin kuch ek ajeeb sa bojh hai maashre par jo dikhayi nahi deta, lekin sirf uska reaction in tamam cheezo ke zariye nazar ata hai. isiliye Nabi SAWW ne apni mubarak hadees mein kam ikhrajat wale nikah ko barkat wala nikah kaha hai. Aaj humein bhi chahiye ki shadiyon mein apne ikhrajat ko control mein laye aur apni haisiyat ke mutabiq kharch kare lekin haisiyat ka matlab ye nahi ki israf shuru ho jaye. Kuch logo ke zehen mein ye bat ati hai ki bhai mere pas paisa hai main kharch karu kisi ka kya jata hai ya kharch kar diya to kaun sa gunah kar diya to INSHAALLAH ispar agey ane wale paragraphs mein bahens hogi aur jawab diya jayega.
3. AELAN AUR AHTIMAM: Nikah ka ahtimam masjid mein kiya jaye aur iska aelan kiya jaye. Hadees mein aya hai "Aelanu Hazannikah Waja'aloohu fil Masajid", mafhoom ye hai ki Nikah ka Aelan karo aur uska Masjid mein ahtimam karo. Iska matlab ye nahi ki Nikah sirf masjid mein he ho sakta hai aur kahin nahi, balki Nabi SAWW ki hadees ka matlab ye hai ki behtar ye hai ki masjid mein kiya jaye kyunki masjid ka mahaul barkat aur rehmat wala hota hai baki agar koi, kahin aur kisi jagah bhi karta hai to bhi Nikah ho jayega. Aaj hum isaiyo ko kuch bhi kah le lekin ye dekhiye ki wo batil par hote huey bhi apni shadiya hamesha Girjaghar (Church) mein he karte hain lekin hamare yahan kuch log ye bhi kah dete hain ki Masjid mein kar ke sabko dikha rahe hain to bhai ye recommendation hain, Nabi SAWW ka suggestion hai unki nazar mein pasandeeda hai, agar koi karta hai to bht achi bat hai. Masjid mein Nikah hone ke kayi fayede bhi hote hain ek to masjid ka mahaul he bht rehmat wala hota hai, har koi paak saf ba wuzu hota hai, agar kisi Namaz ke bad rakha jaye to aur behtar hai, naye jode ko ache khase log duaye bhi dete hain.
4. HAQ-E-MEHER: Meher, ye Dulha ka farz aur dulhan ka haq hai, aur haisiyat ke mutabiq ho jo ba-asani ada ho sake aur jald ada karne ki koshish honi chahiye, behtar to ye hai ki cash mein ho lekin agar udhar bhi hai to bhi use behadd jaldi ada karna chahiye. Ye karz hota hai Dulha par, ALLAH ke Nabi SAWW ki ek hadees ka mafhoom hai ki "Jisne kamobesh kuch meher tay kiya ho aur uski ada karne ki niyat na ho to wo qayamat ke din ALLAH ke nazdeeq ek ZANI ki haisyat se pesh hoga". Aap khud sochiye ki kitni sakht waeed hai is mehr ko lekar lekin aaj to ek riwaj chal gaya hai maaf karane ka, dulhan ki razamandi aur uski khushi se mafi ki gunjaish to hai lekin use ada kar dena he behtar hai. Jabran maafi to hai he nahi ki hum apne zor par mehr maaf karwa le agar koi aisa karega to kal ALLAH ke huzoor usko jawab dena padega. Ye Meher hai kya aksar ye bat zehen mein ati hogi to main ise clear kar deta hun ek misal se ki jis tarah hum koi cheez kharidne ka irada karte hain to uske liye pehle kuch peshgi deni padti hai ki samne wale ko ye itminan ho jaye ki haan iske pas paisa hai aur ye agey chalkar isko khareed lega. Isi tarah meher ka matlab biwi ki kifalat ki jo aap zimmedari le rahe hain uski peshgi raqam hai ye ki main iski zindigi bhar kifalat karunga. (Bs ye misal sirf samjhane bataur di gayi hai iska reality se koi lena nahi hai kyun ki kuch logo ke zehen mein ye baten ati rehti hain isliye maine ye missal di hai, ummeed hai kisi ko buri nahi lagi hogi). Ek aur zaroori bat ye hai ki iske tay karane mein bahut zyada dikkate pesh ane lagi hain ladki wale chahte hain ki ye zyada se zyada ho aur ladke wale chahte hain ki kam se kam ho, dono fariqain ko motadil mizaj hokar is masle par bat karni chahiye ki na ladke wale ko zyada lage aur na he ladki walo ko kam lage, ab aisa bhi nahi hona chahiye ki ladke ki income 7000 hai aur uski meher 50,000 ya 60,000 tay kar di jaye ya aisa bhi na ho ki 100 ya 200 tay ho jaye isko baht he saleeke se aur bahut pyar aur muhabbat ke sath tay kar lena chahiye. Aise kayi waqiyat sunne mein aaye hain ki aen barat wale din Meher ko lekar kuch bat hui aur bat itni badh gayi ki Dulha barat lekar wapas chala gaya, to aisa bhi nahi hona chahiye.
5. WALIMA KI DAWAT: Walima dulha ki janib se hota hai, ye ek dawat hoti hai jisme chand logo ko bulakar khana khilaya jata hai aur ye bhi haisiyat ke mutabiq he hona chahiye naki sirf dikhawe aur showoff ke liye ki "Kamayi chand kaudiyo ki aur walima thath bath wala" aur shadi ke bad phir dikkat aur pareshaniyo ka nuzool. Walima se mutalliq beshumar hadeese hain aur Nabi SAWW aur Sahaba R.A.A. ki zindigiya dekhi ja sakti hai ki wo apne Walime ki dawat kis tarah aur kis andaz mein diya karte they aur kis tarah dawat ka aehtimam kiya karte they. Aap SAWW ka nikah aise bhi hua ki aap safar par they aur wahan Nikah hua to Sahaba R.A.A. kuch khane pine ka saman lekar aaye, sabne mil baith kar khaya piya aur bs ho gaya walima. Kuch Sahaba ke barein mein aise bhi aya hai ki Namaz ke bad khade huey aur kaha Ya Rasoolullah (SAWW) mera Nikah ho gaya hai. Nabi SAWW ne farmaya "Mubarak ho". Aaj ek trend ya jihalat kah le ki bht unchi shakhsiyat se Nikah padhwana hai Hadhrat Abdul Rahman Bin Aauf R.A. ki mulaqat Nabi SAWW se hui to unke kurte par salan ke kuch dagh they to aap Rasollullah SAWW ne poocha ki Ibne Aauf ye kya hai, to Hadhrat Abdul Rahman Bin Aauf R.A. ne kaha ki Huzoor SAWW mera Nikah ho gaya hai, Nabi SAWW ne farmaya MUBARAK HO. Ab ye sochiye ki wo Nabi SAWW ko bata rahe hain ki mera Nikah ho gaya hai, Rasool SAWW ki zindigi mein unse unchi sakhsiyat kaun ho sakta hai bhala? lekin iska matlab ye hua ki Abdul Rahman bin Aauf R.A. ne apne Nikah ka khutba kisi aur se padhwaya, Nabi SAWW ne ye bhi nahi kaha ki mujhe kyun nahi bulaya, ya kisi Sahaba ne bhi nahi kaha ki arey tum to bade chupe rustam nikle, jhoothe munh he pooch lete, khilana na pade isliye bulaya he nahi lekin nahi wo jante they ki Nikah kya hai aur iska aehtimam kis tarah hona chahiye, aur ise kis tarah anjam dena chahiye. Aaj hum apne aapko dekhe agar hamara kareebi dost humein shadi mein na bulaye to shayd hum usse zindigi mein kabhi bat he na kare, usse qata talluq kar le. Ye sare issue they he nahi Nabi SAWW aur Sahaba R.A.A. ke daur mein ek Sahabi aaye bole Nabi SAWW mera Nikah ho gaya hai aur walima karna hai, Nabi SAWW ne Sahaba se kaha jao apne apne ghar se salan ya jo kuch bhi ho le aao aur apne bhai ka walima kar lo, sab le aye khane pine ka saman aur ek sath baith kar celebrate ho gaya walima. Kabhi aisa bhi hua Ammi Zainab R.A. ne Huzoor SAWW ka Nikah hua, ek bakri thi Huzoor SAWW ne use zibah karwaya aur uska salan taiyyar hua aur wahi dawat ho gayi. Ye asal Walima ki dawat jo humein Nabi SAWW ki seerat aur Sabaha R.A.A. ki zindigyo se milti hai.
QURAN: YA AIYUHALLAZEENA AMANUTTAQULLAHA HAQQA TUKATIHI WALA TAMOOTUNNA ILLA WANTUM MUSLIMOON.
6. TAQWA: Taqwa nam hai apne aapko ALLAH ki nafarmani se bachane ka, aur us ehsas ka nam hai ki jo bat apne apni zuban se boli hai agey chalkar us bat se kabhi aapko sharmindigi na uthani pad jaye, kabhi us bat se kisi ko takleef na pahunch jaye, ye yad rahe ki jo kuch bhi hum apni zaban se kah rahe hain uska jawab ALLAH ke yahan dena hoga ki har waqt 2 farishte jo aapke nigehban hain apke tamam aqwal ko naqal karte rehte hain, aap acha bologe to acha likhenge aur bura bologe to bura likhenge, phir yahi as it is batein ALLAH ke huzoor pesh ki jayengi, Quran mein bhi ALLAH ne farma diya FAMAIYAMAL MISQALA ZARRATIN KHAIRAINYYARAH WAMAIYYAMAL MISQALA ZARRATIN SHARRAIYYARAH, "Jis kisi ne ek zarrar barabar achayi ki hogi wo ise dekh lega aur jis kisi ne ek zarrar barabar burayi ki hogi wo ise dekh lega". Ek Bar Nabi SAWW ne farmaya "ATTAQWAHA HUNA, ATTAQWAHA HUNA, ATTAQWAHA HUNA, Taqwa dil mein is ehsas ka nam hai ki kahin mere kisi qaul, mere kisi fail se mera ALLAH mujhse naraz na ho jaye. Hadhrat Umar R.A. se kisi ne pucha ki taqwa kya hai to Hadhrat Umar R.A. ne kaha ki jab tum kisi jangal mein jangli jhadiyo mein se ghuzarte ho to jis tarah apne kapdo ko bachate huey ghuzarte ho us tarah tum sari zindigi ALLAH ki nafarmaniyo se bachte huey ghuzarte raho yahi taqwa hai.
Ye chand moti moti 6 batein hain jo humein Nabi SAWW ki seerat aur Sahaba R.A.A. ki zindigyo mein milti hai ye ki jab rishta lagane ki soche to DEENDARI, SEERAT aur KIRDAR ko tarjeeh do, Ikhrajat ko kam se kam rakho, Nikah ka Aeylan aur Ahtimam masjid mein karo, Meher ki adayegi jald se jald karo aur Walime ki dawat haisiyat ke mutabiq karo. In tamam baton ka jo khayal rakhega INSHAALLAH SUMMA INSHAALLAH uski zindigi ki gadi ALLAH har mushkil se ba-asani ghuzar denge.
DAURE HAZIR KI SHADIYO MEIN GHALAT TAKREEBAT, RUSUMAT AUR YAHOODO NASARA KE TARZ AEHTIMAM…
HADEES: KULLU MOHDASATIN BIDA'A, WAKULLU BIDA'ATIN DHALALAH, WAKULLA DHALALATIN FINNAR…
Ek Ajeeb bojh sa hai is ma'ashere par ki DEEN ek, Islam ek, Quran ek, Nabi SAWW ek lekin shadi se pehle aur bad ki takreebat har jagah alag alag, aisa kyun? Aaj humne Nikah ko itna mushkil bana diya hai ki shadi karne se pehle har kisi ke zehen mein uska kharch pehle he aa jata hai, ki fala jagah itna paisa lagega, fala jagah itna paisa lagega, aur fala jagah itna paisa. Kuch gao aur dehat to aise aise hain ki jahan shadi ki takreebat ek ek mahina chalti hain, aur har din khawateen alag rang ke kapde pehenti hain, kisi din orange colour ke, kisi din green colour ke, kisi din yellow aur kisi din red colour ke. Kuch gao aur dehat aise hain jahan par choti mangni, badi mangni aur darmiyani mangni ke nam par rituals ijad ho chuki hai, choti aur badi to suni thi ab ye ek nayi cheez aayi hai darmiyani mangni. Khair gao dehat ki chhodiye shehro mein bade bure halat hain, shadi se pehle 4 se 5 din to reeti riwajo ki wo dhoom hoti hai ki lagta he nahi ki kisi Muhammad-e-Arabi SAWW ke ummati ki shadi hai. Barr-e-Sagheer Pak-o-Hind mein to achi khasi rusumat kuffar ki li hui hain jinka Islam se koi wasta he nahi hai.
RASMEIN DEEN NAHI HOTI AUR DEEN MEIN KOI BHI RASM NAHI HAI…
MAANJHA: Ye rasm shadi se 2 din pehle hoti hai aur iska koi suboot pure quran mein aur tamam zakheera-e-hadees mein nahi milega, lekin aaj bila tafreeke mazhab ye tamam fikro maktab ke pairokaro ke gharo mein hoti hai, isme uptan lagaya jata hai ladki aur ladke ke uske bad usi uptan se khela jata hai sari rat bs yahi udham machaya jata hai, ye rasm hinduo se aayi hai unke yahan shadiyo mein ise baqayeda ek rasm ke taur par mana jata hai aur iska karna zaroori hota hai.
RATJAGA: Ye bhi ek rasm hai Barat ke jane se ek din pehle, isme tamam gharwale aur aye huey mehman ratbhar jagte hain, ratbhar siwaye gane bajane ke aur kuch nahi hota hai sari rat hasi thahake aur tafreeh aur mazak ka mahaul rehta hai, is rasm ka suboot bhi kahin bhi na Quran mein milta hai aur na he hadees-e-Mubarika mein. Aur sabse ajeeb bat ye hai ki kahin kahin kisi kisi ghar mein to ratbhar gulgule pakte hain. Aaj daure hazir ke musalmano ke zehno mein jashn manane ka sabse badhiya tareeka jo naksh hai wo ye hai 2 3 bade bade speaker laye jaye aur jam kar sara sara din aur sari sari rat shaitan ka sath nibhaya jaye. Rat rat bhar bs speaker bja karte hain aur usme ladkiya aur kahin kahin sath mein ladke bhi nacha karte hain.
BARAAT: Aaj kal jis tarah se pura lao lashkar le jakar ladki ke ghar walo par ek bojh dala jata hai iska suboot kahin kisi Quran ki ayet se nahi hai aur na he Nabi SAWW ki kisi Hadees-e-Mubarika se. phir bhi aaj Barat ke bina shayd he koi shadi hoti ho, ek to ladki wale Dahej (SARAPA LANAT) de aur phir unke ghar jakar pura khandan aur dost aur ahbab milkar khana khaye, aaj kal to badi zabardasti hone lagi hai ki Ladki wale agar 150 admi kahte hain to Ladke wale 200 to le kar jate he hain unhe isse koi matlab nahi ki jisne 150 admi ka intizam kiya hoga agar wahan 200 admi pahunch gaye to unka kya hoga, aur ye sareehan haram hai ki agar ladki walo ne 150 admi kahe aur ladke wale 200 le gaye to jo 50 admi zayed barat mein jayenge aur jo kuch khayenge wo sab ka sab Haram mein dakhil hoga.
QURAN: KULU WASHRABU WALA TUSRIFU, INNAHU LA YUHIBBUL MUSRIFEEN (CH:7 V:31)
MAFHOOM: KHAO AUR PIYO AUR ISRAF MAT KARO, ALLAH ISRAF KARNE WALO KO PASAND NAHI KARTA.
KHANE KA INTIZAM AUR TAREEKA: Khana aur intizam baithne ka sara ka sara kafiro ke mushabe hai, Khane mein buffey system chal gaya hai aisa lagta hai ghode astabal mein ghas kha rahe hain, koi idhar khade hokar kha raha hai to udhar khade hokar, koi adha baitha hai to koi pura baitha hai, sare tareeke se khana kha lenge lekin sunnat tareeka apnane mein apni shan ko kam samjha jata hai. Ab to yahan tak ho gaya hai ki 2 table laga di jati hai taki insan baith kar kha le aur sare janwar khade hokar he khaye, jis tarah se wo kahne aur pine mein janwar bane hain un kuffar ki dekha dekhi humne bhi bilkul janwaro wale tarz ikhtiyar kar liye hain. Jab ki agar dekha jaye to baith kar khana har lihaz se behtar hai. Khane mein itne item rakh diye jate hain ki admi wahan tak pahunch nahi pata aur uska pet bhar jata hai, ek walima mein main gaya kafi paise wale they wo janab wahan par 6 tarah se sirf murgha bana tha, 2 tarah ki biryani, 3 tarah ki roti aur baki to aap log andaza laga he sakte hain ki kya alam hoga khane ka, itna israf tha us walime ki dawat mein ki dil mein ajeeb si kudhan ho rahi thi. bar bar zehen mein yahi jata hai ki akhir itna paisa lagane ki kya zaroorat hai, itna israf kar ke kya hasil hoga jabki ye sabhi jante hain ki JAYEZ KHARCH KIYA TO HISAB DENA HAI AUR NAJAYEZ KARCH KIYA TO SAZA JHELNI HAI dono he tarah se hum musalmano samjhaya gaya hai ki israf ki Islam mein qatayi ijazat nahi hai, aur yahan to logo ne intiha aur hade par kar rakhi hain, yahi wo log hain jinke israf ki wajah hamari beshumar behne aaj gharo par baithi hui hain.
DAHEJ – (SARAPA LANAT): Ye ek aisi lalach hai jiski wajah se aaj lakho karodo behne bina shadi ke ghar baithi hui hain, kyunki unke pas apne ghaleez aur lalchi shauhar ko dene ke liye paisa nahi hai, yahi wo lanat hai jiski wajah se aaj na-jane kitne ghar barbad ho chuke hain. na jane kitni bahne ghar baithi hui hain, kisi ko car chahiye to ksii ko bike, koi ye mangta phir ta hai to koi wo mangta phirta hai, ajeeb bikhari bane huey hain hum sab. Mere walid ke dost ki 4 betiyan thi unhone 3 betiyo ki shadiya ki aur unhone 3 betiyo ki shadiyo mein kul 5,00,000 rupaye kharch hua kyunki ye 20 sal purani bat hai akhiri beti ki shadi ke liye paise ka intizam karne mein unhe heart attack hua aur khatam ho gaye, Ab har ladka ye soche ki agar us baap ki jagah hamare apne baap hote to hum par kya ghuzarti, jab hamari bahen ghar par baithi hoti to hum par kya ghuzarti, jaye aur jakar pooche un walidain se, aur un bhaiyo se jinke pas dene ke liye paisa nahi hai islye unki bachchiya aaj bhi achi khasi umar ke bad bhi ghar par baithi hui hain, kya hum se roz-e-qayamat iska sawal nahi hoga, ki ek shakhs apni ek beti ki shadi mein 5 - 5 lakh rupaye kharch kar raha hai aur kahin 25 se 50 hazar ka intizam nahi ho pa raha hai ki unki betiyo ki shadi ho sake. Kya humme ghairat bachi hai? kya humme islamiyat bachi hai? kya hum me zarra barabar bhi ALLAH aur uske Nabi SAWW se aur unke tareeke se muhabbat bachi hai? aaj humein wo hadeese yad he nahi jo ek Musalman bhai ke huqooq batati hain, aaj humein hadeese yaad he nahi jo Padosiyo ke huqooq batati hain. Aaj hum itne behiss ho chuke hain ki hum sab kuch jante hain lekin us par amal nahi karte.
Acha kuch logo ke zehen mein ek sawal ye bhi ata hoga ki janab hamare pas paisa hai humne kharch kar diya to kya gunah kiya. Mera un pyare bhaiyo se kcuh sawalo ke jawab chahunga agar ye jawab mil chuke hain to phir aapko ikhtiyar hai ki aap apne paiso ko jaise chahe waise kharch kare…
- Aap kabhi kisi hospital ke bahar se ghuzre honge wahan par kuch ghareeb log apne lawaqeen ke ilaj ke liye doctors se iltija kar rahe honge ki mere pas paisa nahi hai ALLAH ke waste hamare bache ko ya bachi ko (ya kisi ko bhi) bacha lijiye. Agar is sawal ka jawab mil chuka hai to beshak aap apna paisa jaise chahe waise kharch kare.
- Aapne aksar dekha hoga ki medical stores ke bahar line lagi hogi aur kuch logo ke pas dawa khareedne ke paisa nahi hote hain. Agar is sawal ka jawab mil chuka hai to beshak aapko ikhtiyar hai ki aap jis tarah chahe paisa kharch kare.
- Aap kabhi raste se ghuzre honge aur apne dekha hoga ki kuch bache Koode (dustbin) mein se kuch uthakar kha rahe hote hain. agar iska jawab aapko mil gaya hai to phir aap beshak apne paise ko kahin bhi karch kar sakte hain.
- Aaj Duniya ke aise aise ilaqe aur aise aise log maujood hain jahan par Islam ka namonishan nahi hai, agar un sabhi tak dawat pahunch chuki hai to phir aap apne paise ko apni marzi ke mutabiq kharch kar sakte hain.
- Aapne dekha hoga aaj bhi Ulema sadko par ek thela aur speaker lekar masjid aur madarse ke chande ke liye nikalte hain kyun ki unke pas paisa nahi hai ki wo madarse aur masjid ko banwa sake. Masjido aur Madarse ke kharch ki zimmedari awaam ki hai, Agar is sawal ka jawab mila chuka hai to phir aap beshak jaise chahe waise kharch kare apna paisa.
- Aap jante honge ki is sari duniya mein 256 mulk hain aur kahin par bhi shariyat nahi hai aur na he Islam ghalib hai, batil taqat ikatha kar raha hai Islam ko mitane ki aur hum uski madad kar rahe hain fizooliyat aur israf kar ke. Agar puri duniya par Khilafat ka nizam qayem ho gaya hai to beshak aap apni marzi se apne paise kharch kar sakte hain.
- Agar Syria, Palestine, Chechaniya, Bosnia, Kashmir, Gujrat, Burma, Asaam, Mali, Afghanistanm ke hamare Musalman bhai aur behne achi zindigi ghuzarne lage hain, jaise hum ghuzar rahe hain to phir aap apne paise ko jaise chahe waise kharch kare.
Agar in tamam sawalo ka jawab mil gaya hai to beshak kharch kare jaise marzi ho waise, lekin agar in sabka jawab nahi mila hai to phir apko koi haq nahi ki aap ALLAH ki di hui daulat ka ghalat istemal kare aur use fizooliyat mein bahaye, Nabi SAWW ki ek hadees ka mafhoom ki "wo shakhs momin nahi, ki wo khud pet bhar kar so jaye aur uska padosi bhooka rah jaye". Kaise gawara karta hai humara dil ki hum fizool karch kare aur hamara he ek bhai, hamare he walidain jaise kisi ke walidain sirf isliye apne bache aur bachiyo ki shadi nahi karwa sakte ki unke pas paisa nahi hai. mere azeezo DEEN to asani paisa karne ke liye aya tha naki mushkilat. Agar kisi ko koi bat buri lagi ho to main dil ki gehraiyo se mafi mangta hun lekin jo kuch aaj ho raha hai wo waqayi ek zulm aur sitam hai Islam par.
SHADISHUDA ZINDIGIYON MEIN AKHLAQ KI AHEMIYAT…
HADIS MAFHOOM: SABSE ZYADA KAMIL IMAN WALE WO HAIN JINKE AKHLAQ ACHE HAIN, AUR WO APNE GHARWALO KE SATH NARMI SE PESH ATEY HAIN. (TIRMIZI)
Ek ALLAH ki ibadat hai jinhe hum Huqooqullah kahte hain aur ek bando ke sath muamlat kare to wo bhi ibadat banti hai jise Huqooqul-Ibad kahte hain aur is Huqooqul Ibad ko ada karne mein aur pura karne mein sabse ahem role Insan ke akhlaq ka hota hai. Ek Bar Nabi SAWW ne farmaya ki Akhalq ki 360 qisme hain, jis kisi ko bhi iski ek bhi qism mil jaye ya uske andar aa jaye to jannat mein jayega, to Hadhrat Abu Bakr R.A. Aap SAWW ke pas baithe they, Hadhrat Abu Bakr R.A. ne pucha Ya Rasoolullah (SAWW) mere andar kitni hain, to Aap SAWW ne farmaya, ALLAH ne tumahre andar sari ki sari bhar di hain. Akhlaq ko takmeel tak Haya pahunchati hai. jiske andar haya nahi, sharam nahi uske andar ache akhlaq nahi.
Zindigi ache akhlaq se ghuzarti hai, na mal se, na gadiyo se, na heere jawarat se, na bangley se na bank balance se ye sari cheeze bhi ahemiyat rakhti hai lekin ye cheeze hasbe zaroorat hon to bhi koi fark nahi padta lekin agar ladke ya ladki ka bol meetha na ho, uske akhlaq ache na ho to ye malo-daulat, gadi-bangle, heere-jawaharat aur bank balance ghar mein sukoon nahi la sakte, zindigi usi ki behtar ghuzarti hai jiske akhlaq ache aur a'ala qism ke ho, use zabt karna ata ho, use sehna ata ho, use maaf karna aur darghuzar karna ata ho, use choti choti baton par wa-waaila se bachna ata ho, ek dusre ki ghalti ko darghuzar karna aur achayi ko bayan karna ata ho. Har khushi har gham mein ek dusre ka sath na chhodna ata ho, ek dusre ki izzat karna ata ho.
Aajkal jab ghar mein bahu ati hai to usse ek din ke ulat pher mein itna kuch expect kar liya jata hai ki wo jaise koi robot ho ki shadi se pehle programming alag thi aur shadi ke uski programming alag kar di gayi, mere azeezo ek ladki tumhare ek ijabo qubool par apna sab kuch chhod kar ati hai, apne maa-baap, apne bhai-bahen, apna ghar, apne rishtedar, uske liye sasural mein sab kuch naya hota hai, har kisi ko samjhna, shauhar ka nature kaisa hai, saas ka nature kaisa hai, susar ka nature kaisa hai, devaro aur devaraniyo ka nature kaisa hai ye sab kuch samjhne mein aur sab kuch adjust karne mein waqt lagta hai lekin hum ye sochte hain ki wo hamare ghar aayi to use ab ekdum se change ho jana chahiye, mere bhaiyo abhi use apni maa ki yaad ayegi, abhi use apne walid ki yaad ayegi, apne bhaiyo aur behno ki yaad ayegi usne 20 se 25 sal apne ghar mein apne logo ke sath ghuzare hain jahan par mahol alag qism ka tha wo sabko samjhti thi aur yahan par alag qism ka mahol hai abhi samjhne mein waqt lagega. Use thoda waqt do bs ate he shuru na ho jao ki aisa na raho, waise na raho, ye na karo wo na karo, iski aisi khidmat karo uski waisi khidmat karo aur phir agar usse kuch ghalti ho jaye to uski baton ko, uski ghaltiyo ko sare aam sabse bayan karte phiro.
Apne bacho ki zindigiya kuch walidain khud ujadte hain, shauhar ki ma kahti hai bahu ko mutthi mein rakha kar, udhar ladki ki maa kehti hai apne shauhar ko qabu mein rakhna seekh, idhar se bhi kan bhare jate hain, udhar se bhi kan bhare jate hain, shadi se pehle walidain ko khabar bhi nahi hoti ki mera ladka kahan baitha hai, kahan gaya hai, lekin shadi ke bad agar wo apni biwi ke pas baith gaya to phir tanz chalte hain uske upar, Maa kahti hai, "Ab har waqt joru ke gote se he bandha rehta hai", Baap kahega "Paal pos kar itna bada kar diya aur ab jakar bahu se chipka hua hai" behne kahengi ye lo bhabhi kya aa gyi hamari to qadr he nahi koi, koi poochta bhi nahi hai, bhai kuch kahenge aur koi kuch kahta hai koi kuch. ALLAH ke waste in tamam baton se aur cheezo se upar uth kar sochna seekho, Ache akhlaq pesh karo, Ladke ko chahiye hai ki har kisi ke huqqoq achi tarah se ada kare, walidain ko thoda sabr se kam lena chahiye, bhai aur behno ko bhi sabr se kam lena chahiye.
Har Maa chahti ki meri beti apne sasural mein khush rahe to phir wo kisi aur ki beti ko wo khushi kyun nahi deti, kyun use ek beti ki tarah nahi samjhti, apni beti ki ghaltiya chupati hai aur bahu ki ghaltiya sare jahan mein batati hain, ye maao ki ghalat soch ka natija hai, ye DEEN se khali hone ki alamat hai, ye ache akhlaq na hone ki alamat hai. Aur zyadatar jagah mazloom ladki ya aurat he hoti hai kayi jagah mard aur sase zulm aur sitam ke pahad tod deti hai, jo bilawajah bahu ko satati hain, choti choti baton par datna, unhe zaleel karna aur unhe nicha dikhana. Kabhi ye kahna ki fridge nahi di, kabhi ye kahna ki cooler nahi diya, kabhi ye kahna ki fala cheez nahi di, kabhi ye kahna ki fala cheez nahi di, aur sabse badtar batein ye hoti hai jo bahu ke zehen mein baith jati hain wo ye ki "tere maa baap kuch diya bhi" "Tere amma abba ne kuch sikhaya bhi" is tarah ke saikdo jumle aise hote hain jo ek ladki ko teer ki tarah lagte hain, ye bhi sach hai Har jagah Shauhar aur saas ki bhi ghalti nahi hoti hai, kahin kahin bahu bhi zimmedar hoti hai, jahan par bahu ke bol kadwe ho, jahan par bahu akhlaq se khali ho, wahan par shauhar aur saas ka rehna mushkil hota hai, wo apne shauhar ke kan bharti hai ki mujhe maa ye kahti hain, mujhe devar ne aisa kaha, bahen ne aisa kaha, to shauhar apne ghar walo par ghussa karta hai, wo ghar mein akar khud ko malkin samjhne lagti hai, har kisi ke upar hukum chalane ki sochti hai, har kisi se ye kahti phirti hai ki ye to mere shauhar ka hai, fala cheez mere shauhar ki hai, fala cheez mere shauhar ki hai, tumhara hai he kya, aise khatarnak jumlo se ek ladki ko parhez karna chahiye, ye wo jumle hai jo bhai bhai mein ladayi kara dete hain, bhai bahen mein ladayi karwa dete hain, maa bete aur baap bete mein ladayi karwa dete hain choonki ghar mein hukm Shauhar ka chalta hai isliye zyadatar mazloom ladki he hoti hai aur ye kafi dekha bhi gaya hai.
Hamare to phir bhi walidain aur azeez-o-aqraba rishte dhoondte hain aur mashriqi tehzeeb mein rehte hain, jakar zara maghrib ki ladkiyo ki khabar lo jo apne shauhar khud he talash karti hai 12 se 14 sal ki umar se jo shauhar talash karna shuru karti hai to 50 sal tak unhe koi shauhar dastyab nahi hota lekin boyfriend zaroor milte hain, itni umar mein na jane kitni gode badalti hain, na jane kitno ki ratein garm karti hain lekin izzate khatam ho jati hain, wo bazaru ban jati hain lekin unhe shauhar nahi milta aur agar milta bhi hai to 1 sal ke liye, 2 sal ke liye but on the basis of contract, ya ye likhne par ki agar kabhi dil na bhara to phir separation le lenge. Maghrib ki tahzeeb ki bat kare to bht kuch hai bolne ke liye lekin stats humein ye batate hai ki ane wale kuch salo mein Europe ke har dusre insan ko apne baap ka nam nahi pata hoga kyunki wahan par shadi ko ek badi bhari dikkat aur pareshani samjha jata hai aur aurat ko Izzat dena unka sha'ar nahi balki aurat ki izzat lene ko wo khud ki aur aurat ki azadi kahte hai aur yahi ghalazat wo hamare muashre mein bhi phailana chahte hain.
Main apne tamam musalman bhaiyo, behno aur dosto se ye ghuzarish karta hun ki apne akhlaq ko us bulandi par le jaye ki ghar ki choti choti batein jinka koi wajood nahi us par dhyan he na jaye aur agar jaye bhi to use itni darghuzar kare, agar biwi se koi ghalti ho jaye to shauhar maf kar de, darghuzar kar de, agar shauhar se koi ghalti ho jaye to biwi maaf kar de ya darghuzar de, jab shauhar ko ghussa aye to biwi khamosh rahe aur samjhaye, jab biwi ko ghussa aye to shauhar ko use samjhana chahiye aur khamoshi ikhtiyar karni chahiye, choti choti baton mein pyar, muhabbat aur khushiya dhoondni chahiye, naki choti choti baton par ladayi karni chahiye, agar khane mein namak kam ho to darghuzar kar de us par chillaye nahi, agar khana sahi na bana ho to us par ghussa na kare, khana kha le lekin baad mein samjha de, taki wo free mind hokar tumhare sath adjust karna seekh jaye, biwi ko bhi chahiye ki agar shauhar koi kam bhool jaye ya kuch bat karna bhool jaye to us par baten sunani na shuru kar de, pyar muhabbat se baith kar ek dusre ko samjhne ki koshish kare, agar is tarah se ache akhlaq se zindigi ghuzarenge to INSAHAALLAH apas mein muhabbat badhegi aur tamam umar ek pal ki tarah nikal jayegi. Lekin shart sirf ache akhlaq hain, agar ache akhlaq nahi to phir achi zindigi ka khayal dil se nikal de.
Aajkal ek bat bht sunne mein ati hai ki jab ladke ya ladki ki shadi hone wali hoti hai to wo Namaz padhne lagte hain, acha akhlaq dikhana shuru kar dete hain, tahzeeb aur tameez ka jhootha chola odh kar apne apko bht acha dikhane ki koshish karte hain unse meri iltija hai ki jis tarah aap dikhane ki koshish karte hain hamesha ke liye aise he ho jaiye aur Namaz aur ache akhlaq hamesha ke liye pakad lijiye warna ye dikhawe ki namaze aur dikhawe ke akhlaq apki zindigi aur akhirat ko tabah wa barbad kar denge.
Kuch logo ko dekha hai ki shadi se pahle bht achi tarah namazo ki pabandi karte they, DEEN ke aur bhi bht sare kam anjam diya karte hain lekin shadi ke kuch din bad he namaze chhootne lagti hain, DEEN ke kamo se bachne lagte hain, aur agar koi dusra dawat de to kahte phirte hain ki tumahre upar zimmedari ho to tum jano, aur pata nahi kya kya… main unhe ye batana chahata hun ki wo eklote nahi hain jinki shadi hui hai, Ambiya A.S. ki bhi shadiya hui thi, Muhammad-e-Arabi SAWW ki bhi shadiya hui, Abu Bakr, Umar, Usman aur Ali R.A.A. ki bhi shadiya hui, iske bad tamam Sahaba R.A.A. ne bhi shadiya ki, Aimma Arba Rh.A.A. ne bhi shadiya ki, tabayi aur tabe tabayi jo log they unhone ne bhi shadiya ki, aur aajtak ke ulema aur mashayekh ko dekh lijiye shadiya karte hain, lekin DEEN se kabhi kisi ne compromise nahi kiya, kisi ne shadi aur biwi ko DEEN par amal na karne ki dhal nahi banaya, kat gaye, khoon de diya, jane de di lekin har zimmedari ke sath sath DEEN ki zimmedari ko bhi pura kiya.
Kuch khawateen ke bare mein sunne mein ata hai ki unhe Darhi nahi pasand hoti hai, isliye wo shauhar par zor dalti hain ki darhi choti karwa de ya clean shave karwa de, kapde modern pahne, to main pahli bat apne un bhaiyo se kahunga ki ALLAH ki ibadat aur Nabi SAWW ki Sunnat ko karne mein kisi bhi tarah se BIWI ki ijazat ki zaroorat nahi hai aur agar uske kahne par aise kam karwa le to ALLAH ki muhabbat aur Rasool SAWW ki muhabbat se bhi badh kar hogi jiski shariyat mein koi jagah nahi balki ye ye beghairti ki alamat hai. Shariyat par amal karne ke liye kisi ko razi karna zaroori nahi hai. Namaz padhne ke liye kisi ki ijazat hona zaroori nahi hai, darhi rakhne mein kisi ki ijazat ki zaroorat nahi hai, Quran mein ALLAH ne farmaya ki Nabi SAWW ki muhabbat tum logo mein sabse zyada honi chahiye, agar aap apni biwi ke kahne par apni darhi ko chota karwayenge, aur apne izar ko takhno se niche karenge to biwi ki muhabbat, Nabi SAWW ki muhabbat se badh jayegi. Ab main apni un Behno se ye kahna chahta hun ki agar apka khawind DEEN mein badh chadhkar hissa leta hai to use rokiye mat, balki use support kariye, apke rokne se use bhi gunah padega, aur aap khud sochiye ki aapka kya hoga, kya Nabi SAWW ki sunnat ko chehre se hatwa kar aap Nabi SAWW ke hath se Hauze Qausar ka pani pi le payengi? Kya aap aapni shakal Nabi SAWW ko dikha payengi? Kya aap sunant se rokne ke ilzam mein ALLAH ki giraft mein nahi aa jayanegi? Maidan-e-Hashr ka wo manzar sochiye jab ALLAH kahenge ki tune mere Nabi ki darhi se itna bair rakha ki apne shauhar ke chehre se hatwa di? Kya jawab hoga aap ke pas?
ZINA KE AAM HONE KI ASAL WAJAH SHADI MEIN TAKHEER HAI…
Nabi SAWW ki hadees hai ki jiska mafhoom hai "TUM MUJHE 2 CHEEZO (ZUBAN AUR SHARMGAH) KI ZAMANAT DO MAIN TUMHE JANNAT KI ZAMANAT DETA HUN".
Waise to aaj ke mahaul mein zina jaisi ghaleez harkat ke aam hone ke beshumar wujuhat hain, ek wajah ye hai ki aajkal jo long term study ki planning chal rahi hai, ek wajah ye hai ki beshumar gandigi Television (Yahoodi) ke zariye jo gharo mein ghus rahi hai, Ek wajah mobile phone bhi hain, ek wajah ladke aur ladkiyo ka school, colleges aur university mein ek sath padhna bhi hai, ek sath coaching aur tution classes padhna bhi hain, aajkal jo dresses chal gaye hain ye bhi ek wajah hai aur in sabse badhkar ye ki Nikah bht zyada he der se hone lage hain, kyun ki har kisi ko angrezo aur yahoodiyo ne ek nara diya hua hai ki pehle padhayi kar lo shadi ke liye abhi bht umar padi hai aur isi nare ki wajah se aksar ladke 30 cross kar jate hain jabki balooghat ghaliban 14 se 16 sal ke bad se he shuru ho jati hai, yahi hal ladkiyo ke ziman mein bhi hai, maghribi tehzeeb aur tamaddun aur unke Ummat ko behkane wale nare KHAWATEEN KI AZADI ke nam par aaj maa baap ladkiyo ko bhi 30 – 30 sal tak padhane ke liye baithaye rehte hain aur unki shadi nahi karte hain. aur jab umar nikal jati hai tab shadi karne ka hosh ata hai phir rishte samjh mein nahi atey ya to phir age mein difference bht zyada milta hai, ya koi shadi shuda milta hai lihaza yahi wajah banti hai ki ladke aur ladkiya bf gf banakar apni nafsani khwahishat ko najyaez tareeke se pura karte hain. Yad rakhe wo walidain ki jo apne bacho ki shadi mein takheer karte hain aur is takheer ki wajah se agar inke bache aur bachiya kisi ghaleez harkat ko anjam dete hain to inhe bhi utna he gunah milega jitna inke bache aur bachiyo ko milega. Is mauzoo par bolne ke liye aur kehne ke liye bht kuch hai lekin bs isharatan maine chand batein pesh ki hain, aur tamam dost aur ahbab is mazmoon ko samjh gaye honge. Abhi kuch din pehle isi facebook par ek dost ne ek photo tag kiya tha jisme kuch ladkiya hijab mein kisi park mein apne bf ke sath baithi hui thi lihaza meri un ahbab se ghuzarish hai ki is tarah ke photo upload na kare balki jo karne wala kam hai wo kare. Nikah ko Asan kare aur ZINA ka kam tamam kare.
NIKAH KO AAM KARO AUR JALDI KARO, ZINA KO KHATM KARO AUR ISLAM KO SAR BULAND KARO.
Meri Behno se ghuzarish hai ki DEEN par chalne mein apne Shauhar ka sath de, aur Bhaiyo aur dosto se ghuzarish hai ki aap bhi Apni Shareek-e-Hayat ko DEEN par chalne mein uski madad kare, aur itni koshish kare ki Shauhar aur Biwi dono jannat mein bhi ek sath ho. Dono ek dusre ke har kam mein madad kare, shauhar biwi ki madad kare aur biwi shauhar ki khidmat kare, dono ek dusre ki akhirat banane ki fikr aur koshish kare. Ibadat aur zikro azkar mein ek dusre ki madad kare, biwi ko chahiye ki wo apne shauhar ki kamayi ko kamtar samjh kar use zaleel na kare aur shauhar ko chahiye ki wo biwi ki jayez hajat ka har hal mein khayal rakhe aur usko pura kare. Shauhar kabhi biwi ke alawa kisi ki tareef na kare aur Biwi shauhar ke alawa kisi ki tareef na kare.
Shadi Islam mein kabhi itna bada malsa aur itna bada issue tha he nahi jitna aaj hum musalmano ne bana diya hai aur hum musalmano ko he ise theek bhi karna hoga, Upar maine jitney Mujahido aur Sahaba R.A.A. ke nam liye hain wo sare ke sare shadi shuda they ghaliban Muhammad Bin Qasim Shaheed Rh.A. ko chhodkar kyunki wo bht jald shaheed kar diye gaye they baki sabhi ne shadi bhi ki aur DEEN ki sar bulandi ke liye aur DEEN ki khidmat ke liye azeem karnamo ko anjam bhi diya lekin aaj hum naujawano ne apni zindigyo ko is ghaleez aur behooda duniya ka mute'ee, iska adi aur iske tabey bana liya aur DEEN ki khidmat se mehroom hokar rah gaye.
Main apne tamam bhaiyo, behno aur dosto se ghuzarish karta hun ki apni apni shadiya sunnat ke mutabiq kare jisme kharch kam ho aur barkate zyada ho, Apni zindigi ka maqsad DEEN ki sar bulandi aur sarfarazi banaye, DEEN ke har shobe mein mehnat karne ki koshish kare, apne jayez aur halal kamayi ko jayez aur halal jagah he lagaye. Aur ek bat hamesha yad rakhe ki ek Alfaz hota hai sunnat aur ek alfaz hota hai rasm agar kahin kisi jagah rasm alfaz aa jaye to phir wo DEEN nahi hai balki logo ki apni garhi hui cheez hogi jise na karna he behtar hai kyunki sunnat ko chhodna gunah ka ba'is hai. Meri apne azeez aur aqraba se ghuzarish hai ki rishta lagane mein DEENDARI, SEERAT aur KIRDAR ko tarjeeh de aur Dahej jaisi lanat ko darkinar kare, na le aur na de, INSHAALLAH is tarah hum apne mu'ashre ko ek mukammal Islami mu'ashre bana payenge.
JAZAKALLAHU KHAIRAN KASEERAN KASEERAH...
ARTICLE WRITTEN BY : Muhammad Raghib Khan
Is nacheez, khaksar wa ahqar ko apni duao mein zaroor yad rakhe, Aap hamare liye dua kare aur hum apke liye duago hai.
No comments:
Post a Comment