Kisi Ne Allama Iqbal Se Pucha: "Aqal Ki Inteha Kya Hai?"
Jawab Mila: "Hairat"
Phir Pucha Gaya: Hairat Ki Inteha?
Jawab Mila: "Ishq"
"Ishq Ki Inteha Kya Hai?"
Farmaya: "Ishq La Inteha Hai, Is Ki Koi Inteha Nahi"
Sawal Karne Wale Ne Kaha: Magar Aap Ne Likha Hai:
"Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon"
Aap Ne Muskura Kar Kaha:
Dusray Misray Me Apni Ghalti Ka Aitraaf Bhi Kiya Hai Ke,
"Meri Saadgi Dekh Kya Chahta Hoon".
No comments:
Post a Comment