Tuesday, February 26, 2013

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasllam) ka Islam ke khatir takleef ka bardasht karna.


---------------------------------------------------------
Taif arab ka ek shahar hai, Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasllam) islam ki dawat lekar taif gaye aur waha ke logo se mile ki mein Allah ka rasul (doot) hu aur Allah ka paigam lekar aaya hu, tum log sirf Allah ki ibadat karo.
Is baat par Taif ke logo ne Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasllam) ka khoob mazak udaya aur baad mein baccho ko piche laga diya ki inko pattharo se maaro. bacho ne unhe maarna shuru kar diya, aap khud ko pattharo se bachane ke liye waha se chale, aapko itne patthar maare gaye ki aapke sir se khoon bah kar aapke juto mein bhar gaya, baad mein shahar se bahar nikal kar ek jagah bethe. Ye saara maajra dekhkar aasman ke farishte bhi ro diye. Ki Allah ka sabse pyara rasul kitni takleef utha raha hai. Allah ne madad ke liye 2 farishte bhej diye, ye dono farishte pahado ke farishte the yaani pahad inka hukm maante the, in farishto ne kaha ki ae Allah ke rasul, aapko in logo ne bahut takleef di hai, hum pahado ke farishte hain, aur ye pura shahar pahado ke beech basa hai, aap kaho to hum is poore shahar ko pahado se chakki ke paat ki tarah pees de. Lekin Hazrat Muhammad to pyar ka paigam dene aaye the, Allah ka paigam dene aaye the, unhone dono farishto ko mana kar diya. Aur kaha ki mein Allah se dua karta hu aur umeed karta hu ki agar ye log imaan nahi laaye to inke hone wale bacche imaan lekar ayege. aur aisa hi hua baad mein waha ke kaafi log musalman hue.

Ek jagah Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasllam) ne farmaya (jiska matlab ye hai ki) Islam aur (Allah) ke khatir jitni takleef mene uthai hai kisi dusre nabhi ne nahi uthai.

No comments: