Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ka akhlaq (behaviour)
-------------------------------------------------------------------------
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) jab bhi apne ghar se nikalte, raaste mein ek budiya raha karti thi, wo ghar ka saara kachra ikattha karke rakhti thi aur ye intezaar karti thi ki Hazrat Muhammad niklege to unke upar ye kachra daal dugi. Aur jab waha se Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) nikalte to un par wo kachra daal diya karti thi, iske jawab mein hazrat Muhammad kuch nahi kahte aur chup-chaap aage badh jaate. Ye maamla kaafi dino tak chalta raha, ek din Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) waha se guzre to budiya nahi dikhi, aapne aas-pass ke logo se pucha ki wo amma kaha hai, to kisi ne bataya ki wo budiya bimar hai, Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) us budiya ki bimari ka haal-chaal puchne chale gaye. Jab budiya ko ye pata chala ki wo Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) jis par mein roz kachra daalti hu, mere bimar hone par meri tabiyat dekhne aye hain, to bahut sharminda hue aur Hazrat Muhammad ke akhlak (vyawhar) dekh kar foran musalman ho gai.
No comments:
Post a Comment