Saturday, January 4, 2014

Uth Sher mujahid hosh mein aa

Uth Sher mujahid hosh mein aa, tameer-e-khilafat paida kar.

Kyun firqe firqe hota hai, Ab ek jamat ko paida kar…

Kar tu bhi taraqqi duniya mein, Asbab-e-tijarat paida kar,

Qaroon ki daulat thukra de, Usman ki daulat paida kar…

Islam ka dam tu bharta hai, Kuffar se phir kyun darta hai,

Ya to islam ka nam na le, Ya shauq-e-shahadat paida kar…

Dil se kah ke aa, ghabraye na, Halat badalne wale hain,

Jo kante banke aaye they, Wo lamhe talne wale hain…

Mazloomo ki anho ne, Ab sholo ki adaye pahni hai,

Ye jaal to bs sayyado ke, Ab sadne galne wale hai…

Himmat he nahi toofano mein, Jazbo ko hamare cheen sake,

Jitna humse uljhenge, hum aur machalne wale hain…

hum aur machalne wale hain…

No comments: