Monday, June 13, 2011

EK PAIGHAM UMMAT-E-MUHAMMADIYA KE NAAM



Is fikr mein ghunchey zard huey,
Is soch mein kaliya sookh gayi,
Ayine Gulistan kya hoga,
Dastoor-e-Bahara kya hoga…

Aey Mauje hawadis inko bhi do char thapede halke se,
Kuch log abhi tak sahil par tufan ka nazara karte hain…
Ye duniya ahle duniya ko basi maloom hoti hai,
Nazar walo ko ye ujdi hui maloom hoti hai,
Ye kisne kar diya sab dosto se mujhko begana,
Mujhe to dosti bhi ab dushmani maloom hoti hai,
Talab karte ho dad-e-husn tum phir wo bhi ghairo se,
Mujhe to sunkar bhi ek aar si maloom hoti hai,
Agar himmat kare to kya nahi musalman ke bas mein,
Ye hai kam himmati jo bebasi maloom hai…



Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuh, Mere azeez Musalman bhaiyo aur behno…



Aaj bht kuch likhna chahta hun bht kuch kahna chahta hun lekin pata nahi kab tak meri ye soch, mera ye zehen, mere ye jazbat sath de payenga lekin itna zarur kahunga ke aaj meri puri koshish hogi ke Ummat-e-Muslima ke har-har fard ke andar deen ke jazbat, uski azmat, uski muhabbat, Rasool-e-Kareem SAW ki muhabbat aur unke Ashaab R.A.A. ki muhabbat aur azmat dilo mein baitha saku, Khud-e-Bartar ki qasam aaj rone ko dil karta hai jab ye dekhta hun ki har taraf batil nazar ata hai, har raste, har gali, hume chidha raha hai kahan hain wo musalman jo nabi ki sunnato par amal karne wale they, kahan hain wo musalman jo ek ek sunnat ko zinda karne wale they, kahan hain wo musalman jo na mahram par nigah padne par apni nigahon ko jhuka liya karte they, kahan hain wo musalman jindigiya jo Huzoor-e-Aqdas SAW ki tarah hua karti thi, kahan hai wo jazbat jo deen par mar mitne wale hua karte they, kahan hai wo musalman jo haram ka ek lukma khane se pahle 100 martaba socha karte they, kahan hai wo musalman jinki tijarte Islam phailaya karti thi, kahan hain wo musalman jinke chehre Nabi Akhiruzzaman SAW ki yaad dilaya karte they,………… kya humme itna bhi iman nahi bacha ki hum haram aur halal se bach paye, kya hamare andar itna bhi iman nhi bacha ki hamare samne puri duniya mein musalmno ka khoon pani ki tarah bahaya jaye aur hum uff na kare, kya sirf apni zindigi bitane ko kaha tha ALLAH ne, kya is ummat ke liye humara koi farz nahi hai, kya badan par zakhm hota hai to hum haste hain, nahi uska ilaj karte hain, aaj Ummate-e-Muhammadiya par lakho zakhm diye ja rahe hain, kahin parde par Ban, kahin dahshatgardi ke naam hamara khoon bahaya ja raha hai, kahin humein sirf sur sirf shak ki bina par salo barso jail ki salakho ke piche rakha jata hai, aaj hamari masjide mahfooz nahi, aaj hamare Deeni kaam mahfooz nahi, aaj hamare deeni madaris shak keg here mein hain, pure alam mein batil ne pura zor laga rakha hai ki Islam ko khatam karma hai, tahes nahes karna hai aur hum sirf apna ghar, apni namaz, apne roze, khud ko bachana, sirf AML BIL MAROOF par kam karna, NAHI ANIL MUNKAR se koi wasta nahi, ALLAH RABBUL IZZAT ke jalal ki qasam ye hamari pakd ka sabab banega, Afsos aaj humne sab bhula diya…

Mujhe nahi pata ke meri soch sahi hai ya ghalat, lekin mujhe dikhayi de raha hai ki har taraf, har jagah, har mulk, har shahar, har basti ka musalman khasare ki taraf badhta he chala ja raha hai wo bhi is fani duniya ko pane ki chahat mein. Aaj bacha paida hota hai to use English medium school mein dal diya hai, kya English medium school us bachey ko haram aur halal ki samjh sikha sakta hai, kya ye English medium school ise mahram aur na-mahram ka fark bata sakta hai, kya English medium school iske dil mein ALLAH aur uske Rasool ki muhabbat bitha sakta hai, kya English medium school Quran ki ahmiyat bata sakta hai, harghiz nahi mere bhaiyo harghiz nahi, Khuda ke liye apne bacho ko Hafiz banao Alim banao taki maidan-e-mahshar tumhare saro par taaj rakha jaye, ALLAH ke chaheete bano, NABI SAW ke chaheete bano, ye fani duniya humein kuch nahi dene wali, Khuda-e-BAR HAQ ki Qasam ye sarapa dal-dal hai jitna agey badhte jaoge utna andar dhaste jaoge, kitne log humari ankho ke samne is duniya se chale gaye aur unhone jo khwab dekhe they wo bhi unhi ke sath chale gaye, mere pyaro sirf ek khwab apni ankho mein basa lo, aur bs sirf aur sirf usi ki mehnat karo, bs ek khwab JANNAT, JANNAT, JANNAT aur sirf JANNAT… ye socho ki hum jannat mein kaise ja sakte hai, kya kare jo ALLAH humein jannat dene ko razi ho jaye, aisi kaun si ibadat kare aise kaun se amal kare jisse wo la-mahdood zindigi humein ba-asani mil jaye, Khuda ki qasam Haram aur halal se sirf wahi bach sakta hai jiski ankho ke samne Jannat aur Jahannam ka tasawwur ho, jise Jannat ki aisho aram aur jahnnam ki aag ke barein mein pata ho…

Aaj humpar batil ne itni mehante ki, hamare dilo se iman ko halka kar diya jisse hamara apna iman kamzori ke is muhane par pahunch gaya jahan par Islam par koi war humein war nahi khud us musalman ki ghalti lagta hai, uske gunaho ki saza lagta hai aur humein wo sab kuch dikhaya ja raha hai jo ek musalman ne kabhi apne khwab mein bhi tasawwur nahi kiya tha. Aaj Qibale-e-Awwal hamare hatho se un khabees aur napak, najis yahoodiyo ke hatho mein hai, wo Qibla-e-Awwal jahan Nabi SAW ne Meraj ka safar kiya tha, jahan par Pyare AQA SAW ne tamam nabiyo ki namaz padhai thi, humne islam ke barein mein sochna he band kar diya, haye, haye nikalti hai, haye, aaj humein kuch nahi dikhayi deta…

Aaj humein wo sari cheeze, wo sari batein, wo sare kaam, pasand aa rahe hain jinse hamari akhirat kharab ho rahi hai, aaj pure alam par music ne aisa jaal bicha rakha hai jisse bade bade abid, hafiz aur alim bhi nahi bache hai, ye gane wale shaitan ke muezzin hain, ALLAH ke NABI SAW ne inhe shaitan ka muezzin kaha hai, aur gane ko shaitan ki awaz kaha hai aur us shaitan ke muezzin ki awaz par log thirak rahe hai, aur apni akhirat barbad kar rahe hai, aur iska khamiyaza ek din humein bhugatna he padega aur us din humein siwaye pachtawe ke kuch bhi hasil na hoga… humein haqeeqi Khud-e-Bartar ke samne pesh hona hai jaisa ki Quran mein ALLAH ne farmaya "WAKULLUHUM ATIHI YAUMAL QIYAMATI FARADA" ke jiska mafhoom hai "har kisi ko uske huzoor mein fardan fardan khada hona hai" socho mere bhaiyo, socho meri bahno, socho bugurgho aur jawano, socho ye sochne aur khud ko Jahannam ki aag se bachane ka maqam hai. Ye waqt Quran aur Sunnat par amal karke apni zindigiyo ko khushgawar banane ka hai, aaj ye waqt humein puri duniya mein islam ki dawat dene ka hai, puri duniya mein Islam ko pahilane ka hai, puri duniya mein Islam ka difa karne ka hai, har musalman par ALLAH ke deen ki hifazat karna farz hai aur ye ek ahemtareen fareeza hai jo qismat walo ko milta hai, aur hamesha yaad rakho "jab Islam aman mein ho to ek momin ke liye sabse behtareen jagah Masjid hai, aur jab Islam par har taraf se hamle ho rahe ho aur islam apni baqa ke liye lad raha ho to ek momin ke liye sabse behtareen jagah (mahaz) maidan-e-jung hoti hai. Aaj Qibla-e-Awwal humein cheekh cheekh kar bula hai, kahan hai wo musalman jo meri izzat ki khatir meelo ka safar karke mujhe bachane atey they, kahan hain wo Salahuddin Aiyyubi jisne yahoodiyat ki eat eat se baja di thi aur akhir Qibla-e-Awaaal ko azad kara kar he dam liya, aaj phir se yahoodi sari duniya se akar Israel mein bas rahe hai unhe usko greater Israel mein badalna hai jahan par non-jews ke liye koi jagah na hogi, Nabi-e-Kareem ki hadeeso ko padho mere bhaiyo ek hadees hai jiska ye mafhoom hai ki "mere baad Jazeerat-ul-Arab mein kisi kafir ko na basne dena", aaj aap khud dekhte honge ki jazeerat-ul-arab mein kitne kafir rah rahe hai aur sirf rah he nahi rahe wahan par rah rah kar Islam ko tabah karne ki schemey bana rahe hain…


Aaj musalman sirf naam ka musalman rah gaya hai, uska maqsad sirf zindigi ki aish-o-aram hasil karma hai, ALLAH ke deen se uska koi talluq nazar nahi, mere azzizo kyun hum ye nahi samjhte ke humein is zindigi ko ek din chhod kar ane wali zindigi mein jana hai, kyun hum ye nahi samjhte ke ane wali zindigi kabhi na khatm hone wali hai, kyun hum ye nahi samjhte ke Nabi-e-Kareem SAW ke tareeqe ke bina hum jannat mein nahi ja sakte, ALLAH ke ahkamo ko chhod kar hum qamyab kaise ho sakte hain, Nabi ne jin jin rasto se deen ki tableegh ki un tamam rasto ke bina hum deen ko kaise agey badha sakte hain…

Aaj puri duniya hum par ilzam laga rahi hai ke hum musalman ache insan nahi, ache akhlaq wale nahi, achi batein karne wale nahi, ache kaam karne wale nahi, aaj puri duniya ki taqat ek taraf aur hum musalman ek taraf hain, aao aaj ye Azm-e-musammam karte hain ki puri duniya ko dikha kar rahenge ki hum se behtareen akhlaq wale insan abhi is duniya mein ALLAH ne paida nahi kiye, humse behtareen baat karne wale ALLAH ne paida nahi kiye, humse behtareen kaam karne wale ALLAH ne padia he nahi kiye, humse behtareen insaf karne wale ALLAH ne paida he nahi kiye… Aaao, Aaao mere rafeeqo Aaao, hum aaj se ye AZM kare ki ek waqt ki namaz bhi nahi chootegi, aaj ye azm kare ki ek bhi roza nahi chootga, aaj ye azm kare ki haram ki taraf humein dekhna bhi gawara nahi chahe usme kitni bhi lazzat kyun na ho, aaj hum ye azm kare aur ALLAH hamari madad farmaye halal ke alawa hamare halaq se ek dana bhi na utre, hum sari zindigi ALLAH aur uske RASOOL ke ghulam ban kar rahe aur jis tarah ek ghulam rahta hai ki uske liye sirf uske AQA ka hukm he sab kuch hai usi tarah hum bhi ALLAH aur uske RASOOL ki baton aur hukmo par amal karne wale ho jaye, humein dekhne wale kahen ki ye hain musalman, hum amanatdar ho jaye, hum izzato ke muhafiz ho jaye, humari chaalo aur hamari baton se Islamiyat tapak rahi ho, NABI SAW ki sunnate jhalak rahi ho, agar kisi ki hum par nazar pade to wo andaza laga le ki ye Muhammad ke shaidayi hain, koi humein dekhe to use ALLAH aur Uska RASOOL yad aa jaye… Hamare sare kaam aur sari adatein sunnat ke mutabiq ho jaye, aur Yaum-e-Jaza ke din humein apna Nama-e-Amal Dahine hath mein mil jaye aur hum Jannat mein pahunch jaye… AMEEN. YA RABBAL ALAMEEN.

Article Written by : MUHAMMAD RAGHIB KHAN


1 comment:

Maaz said...

Raghib bhai ..mashallah zabardast likha hai aapne ..