Hashr mein phir milenge mere dosto, bas ye hi hai payam aakhiri akhiri*
Zindagi ne jahan tak wafa ki rahey, chal diye ab hai salam aakhiri akhiri**
Kehna sab jeetey jee ke hain shikwe giley*
Aaj sey khatm duniya ke sab silsiley**
Shamma dhalney ko hai dam nikalney ko hai*
Ab hai qissa tamam aakhiri aakhiri**
**************Hashr mein phir milenge mere dosto....
Mujh ko nehla ke pehna diye hain kafan*
Ro chukey maa baap mil ke bhai behan**
Maut bhi aaj doston hairat mein hai*
Ab hai qissa tamam aakhiri aakhiri**
*************Hashr mein phir milenge mere dosto.....
Khusbuon mein kafan ko basaney lage*
Meri maiyyat ko dulhan bananey lagey**
Dosto ab uthao janaza meraa*
Ho chuka bas intezaam aakhiri aakhri**
*************Hashr mein phir milenge mere dosto........
Mujh ko zer-e-zameen dafna gaey*
Kis qadar sang dil ho key farma gaey**
Dosto chain ki neend sotey raho*
Bas ye hi hai muqaam aakhiri aakhiri**
*************Hashr mein phir milenge mere dosto.......
Kaisi ye duniya hai Murshid gazab re gazab*
Chand dinon mein yahan bhool jaate hain sab**
Jis bahaney meri yaad aa jaaey to*
Padh lena ye mera kalam aakhiri aakhiri**
*************Hashr mein phir milenge mere dosto ye hai muqaam aakhiri aakhiri**
Zindagi ney jahan tak wafa ki rahey chal diye ab hai salam aakhiri aakhiri**
__________________________________________________________________________________________________________________________________
2 comments:
Veri nice naat e paak
I newer forget your's help for loaded that naat
Post a Comment