Thursday, March 13, 2014

Mujhe us se mohabbat hai

Mujhe us se mohabbat hai,
Magar kese kahoon us se,
Woh meri baat ko sanjeedgi se
kam hi leti hai,
Har ik pal muskurana
Khilkhilaana,
Doston per fikray qassna,
Nit’naye masoom mansoobay banana,
Shokh chanchal har gharri taaza shararat
main bohat masroof rehti hai,

Magar ik aur hadsha bhi hai mujh ko,
Main izhaar se
Iqraar se
khud rokay rakhta hai,
Ke mehke khawab bun’ne, khelne ka waqt hai uska,
Meri chahat
Kahin masoomiyat na cheen le uski,

Sadaa se hum ne dekha hai,
Mohabbat aadmi ko is’qadar sanjeeda karti hai,
Ke phir mehfil, tamashey, khel us ko bojh lagte hain,
Main darta hoon
Kahin yeh bhol’pan us ka,
Yeh har pal cheh’chihaana muskurana sab,
Meri izhaar se sanjeedgi mein na badal jaye,

Kahin us shokhh ko bhi rog koi,
Chup chaap na lag jaye,

Mujhe us se mohabbat hai,
Magar kese kahoon us se….

No comments: