Friday, October 25, 2013

BADSHAH AUR WAZEER

KISI mulk ke badsha ka wazir
bada hoshiyaar or akal mand tha
achanak woh badsha ki mulazmat
chod kar '''ALLAH''' ki ibadat mein mashgul
ho gaya
ek din badsha wazir ke paas gaya
or usse pucha
tum ne meri mulazmat kyun chod
di...
wazir ne kaha paanch baato ki
wajah se meine aap ki mulazmat
chod di
badsha ne kaha kon si paanch
baate hai woh???
wazir ne kaha

*****pehli baat to yeh ke aap
bethe rehte the or mein aap ki
khidmat mein khada rehta tha
ab mein ALLAH tala ki khidmat
mein hazir hua hu
to khade ho kar bhi ibadat kar
sakta hu or beth kar bhi
namaaz khade ho kar bhi padhi
jaati hai or ismein bethne ka bhi
hukm hai

*****dusri baat yeh ke aap to
bethe khate rehte the or mein aap
ko khade ho kar dekhta rehta
tha..magar mujhe ab aisa razik mil
gaya hai
jo mujhe khilata hai or khud
khane se beniyaaz hai

*****teesri baat yeh ke aap sote
rehte the or mein aap ka pehra
diya karta tha
ab mein ek aise badsha ka gulam
ho gaya hu ke mein khud sota hu
or woh meri nigehbani karta hai

*****chothi baat yeh ke mein
darta tha ke agar aap fot ho gaye
to aap ke dushman mujhe taklif
denge. magar ab mein aisi zaat ki
khidmat mein hu jo sada kayam
rahegi
or ab mujhe kisi ka khof nahi

*****panchvi baat yeh ke mein
darta rehta tha ke mujh se koi
galti ho gai
to aap mujhe maaf nahi karenge
magar ab mujhe aisa reham dil
malik mil gaya hai ke din mein so
martaba gunah karne ke baad bhi
apne bando ko bakhsh deta hai

***ALLAH TALA ***humare dil
mein bhi apni sachchi mohabbat
peida karde AMEEN

No comments: