Friday, July 12, 2013

Iftaar Se Pahle Ka Time Kharab Na Karo


==============================
Aksar dekha jaata hai ke log Iftar ke time tak bazaar mein Iftari kharidte rahte hai... Maghrib ki azan se pahle (IFTAR se pehle) ka time dua ke kubul hone ka, bada hi keemti time hota hai, ALLAH is time Bando par khaas taur par dhyan deta hai aur Duaen Qubul karta hai... Aur farishton se hukm deta hai ke mere bande ki dua par aameen kaho, samandar ki machhliya bhi rozdaar ki is time ki dua par aameen kahti hain, aur agar hum is keemti time ko bhi bazaar mein barbaad kar den to hamara hi nuksaan hai. Islye agar ho sake to kharidaari ASAR se pehle kar len, Aur mahgrib ki azaan se pahle DUA mein lage rahiye...

Isi tarah auraten bhi iftaar ke time tak kuch na kuch pakati rahti hain, isliye koshish kariye azan se kam se kam 30 minute pahle aapke saare kaam khatam ho jaaen aur iftaar se pahle ka keemti time aap dua maangne mein guzaren.

Allah hum sab ko amal karne ki taufeeq ata farmaye. Aameen.

No comments: