Tuesday, January 1, 2013

Aurangzeb (R.A.)

Aurangzeb r.a. shayad mughal itihas me sabse badnam shasak hain jiska kaaran ye bataya jata hai ki wo kattar muslim thy . . . lekin jab ham dhyan se itihas padhte hain to pate hainAurangzeb r.a. ne Sati pratha ko apne shasan me band karwa ke anginat maasoom aurato ki jaan bachai thiis ke saath Aurangzeb r.a. ne apne rajya me Daas wyapar pe rok lagaai . Bazaro me Jua khelne aur khule aam Sharab peene pe rok laga di thi , apne rajya me Veshyavritti pe rok laga di thi, rajya me bhang ki kheti pe rok laga di thi aur ek sath 80 taxes ko maaf kr dia tha jinme hinduo pe laga teerth yatra tax bhi maaf kr dia tha . aurangzeb r.a. ne apne darbar me pury mughal period ke mukable sabse zyada 33% hindu mansabdar rakhe thy aur unhone Jyotish sangeet etc. mahal ke faltu kharco pe rok laga di thin . . . . . ye tathya bharat sarkar dwara manyataprapt kitabo me milte hain jaise Dr. Laeek ahamad ki likhi kitab MUGAL KALEEN BHARAT, page: 177-178aur Harishchandra Varma ki likhi kitab MADHYA KALEEN BHARAT, page: 147isi tarah NCERT ki 12th class ke liye kitab BHARTEEY ITIHAS KE KUCH VISHAY-2 me Bhatki Sufi Paramparayn Page: 149 pe likha hai''shasako ne bhumi anudan aur kar ki Chhoot hindu, jain, parsi, isaai aur yahoodi dharm Sansthaao ko di sath he ghair muslim dharmik netaao ke prati shraddha bhav wyakt kiya ! aise anudaan anek mugal badshaho, jinme akbar aur Aurangzeb shamil thy dwara diye gye''Page 150 srot 6 me Aurangzeb r.a. dwara ek jogi ko likhe huye patr ka ansh dia hai ''Buland maQaam Shivmurat guru anand nath jiyo/ Janab e muhtaram, aman aur khushi se hamesha shri shiv jiyo ki panah me rahen. Poshak ke liye vastr aur 25 rupay ki raqam jo bhent ke taur par bheji gai aap tak pahochegi . janab e muhtaram aap hame likh sakte hain jab bhi hamari madad ki zarurat ho''Page 234 ''Yuddh ke dauran agar mandir nasht ho jate thy to baad me unki marammat ke liye anudaan jaari kiye jate thy aisa hame Shahjahan aur Aurangzeb ke shasan kaal me pata chalta hai''in facts se pata chal jata ki kattar muslim kaise hote hain !!

No comments: