A GIFT OF RUPUBLIC DAY FROM A MUSLIM BROTHER
DILLI (DELHI) SE EK SAWAL…
Mazhab ke thekedaro se, bharat ki sab sarkaro se,
Mera sawal hai aey dilli teri sansad ki deewaron se,
Humne to khoon dekar phool azadi wala khila diya,
Lekin tune kya sila diya, lekin tune kya sila diya…
Dilli bata dhokha tujhe kab humne diya hai,
Dilli bata dhokha tujhe kab humne diya hai,
Itrane ke layak jo kuch hai, sab humne diya hai…
Hinsa ka jo ilzam lagate hain wo sun le,
Gandhi ko bhi gandhi ka laqab humne diya hai…
Mazhab ke thekedaro se, bharat ki sab sarkaro se,
Mera sawal hai aey dilli teri sansad ki deewaron se,
Humne to khoon dekar phool azadi wala khila diya,
Lekin tune kya sila diya, lekin tune kya sil diya…
Tu bhool gayi hai tipu ko zamin shaheed ko bhool gayi,
Ahmadulla, ashfaqulla, abdul hameed ko bhool gayi,
Kuch bhi ho, kahin bhi ho, kahin ho desh mein zimmedar humi kahlate hai,
Itni qurbani dekar bhi ghaddar humi kahlate hain,
Jitne ehsan hamare they sabko mitti mein mila diya,
Akhir tune kya sila diya, akhir tune kya sila diya…
Jis jurm pe wo apradhi hain, hum usi pe atankwadi hain,
Wo kare to andolankari, hum kare to hum unmadi hain,
Dilli hum sabke sath teri kaisi hamdardi dikhti hai,
Tujhko to darhi topi mein bs dehshatgardi dikhti hai…
Tohfe mein tune hum sabko bs nafrat ka silsila diya,
Sab kuch mitti mein mila diya, sab kuch mitti mein mila diya…
SAID BY IMRAN PRATAPGARHI
No comments:
Post a Comment