Sunday, December 11, 2011

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai ... By : Parween Shakir

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai

Suna hai sher ka jab pait bhar jaaye

To wo hamla nahin kerta,

Suna hai jab kisi nadi k paani main
Bue k ghonsle ka gandami saaya larazta hai

To nadi ki ro pehli machhilyaan us ko

Parosi maan leti hain,

Hava k taiz jhonke jab darakhton ko hilaate hain

To Meena apne ghar ko bhool ker

Ka'uve k andon ko paron main thaam leti hai

Suna hai Ghonsle se jab koi bacha gire to

Saara jangle jaag jaata hai.

Naddi main baar aa jaaye

Koi Pull toot jaaye

To kisi lakri k takhte per

Gulahri, Saanp, Cheeta aur Bakri

Saath hote hain.

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai,

Khuda-wanda Jaleel-o Mu'atbar, Daana-o Beena Munsif-o Akber,

HUMARE SHAHAR MAIN AB,

JANGLON KA HI KOI DASTOOR NAAFIZ KER..!!


By : Parween Shakir

No comments: