Tuesday, July 21, 2009

Dunya k aay musafir manzil teri Qabar hai ( Poem)

Dunya k aay musafir manzil teri Qabar hai
Tay kar raha hai jo tu 2 din ka ye safar hai

Jab say bani hai ye dunya lakhoon karooron aaye
Baki raha na koi mitti may sab samaye....

Iss baat ko na bhoolo sub ka yehi hashar hai
Dunya k aay musafir manzil teri Qabar hai.....

Aankon sayy tuu nay apnaykitnay janazay daikhay
Hathoon sayy kitnay apnay dafnaye kitnay murday

Anjaam sayy tuu apnay ktun itna bekhabar hai
Dunya k aay musafir manzil teri Qabar hai........

Ye oonchay oonchay mehal kuch kaam k nahii hain
Ye aali shaan k banglay kuch kaam k nahii hain.....

Do gaz zameen ka tukra chota sa tera ghar hai
Dunya k aay musafir manzil teri Qabar hai.........

Makhmal pay sonay walay matti may so rahay hain
shah o gada yahan pay sub aiik ho rahay hain......

doono howay barabar mout ka ye aasar hai
Dunya k aay musafir manzil teri Qabar hai...

Matti k putlay, tuu nay matti mayy hai samana
Aik din yahan tuu aaya, aik din yahan sayy jana


No comments: